har ek rasta-e-payab se nikalna hai
sarab-e-umr ke har bab se nikalna hai
sar-e-anasir-e-kamyab se nikalna hai
shumar-e-nadir-o-nayab se nikalna hai
tawil-tar se kisi KHwab mein utarne ko
har ek shaKHs ko is KHwab se nikalna hai
lahu lahu sar-e-mizhgan tulu'a hona hai
kinar-e-KHitta-e-pur-ab se nikalna hai
use bhi parda-e-tahzib ko girana hai
mujhe bhi paikar-e-nayab se nikalna hai
sukun lamha-e-bhaari ne hi ugalna hai
to chain arsa-e-be-tab se nikalna hai
nahin hai rahna use bhi bahaar mein 'tahir'
mujhe bhi mausam-e-shadab se nikalna hai
Ghazal
Har ek rasta-e-payab se nikalna hai
Tahir Adeem