اردو हिंदी
Har ek raste ka ham-safar raha hun main | Shaahi Shayari
har ek raste ka ham-safar raha hun main

Ghazal

Har ek raste ka ham-safar raha hun main

Farigh Bukhari

;

har ek raste ka ham-safar raha hun main
tamam umr hi aashufta-sar raha hun main

qadam qadam pe wahan qurbaten thin aur yahan
hujum-e-shahr se tanha guzar raha hun main

pukara jab mujhe tanhai ne to yaad aaya
ki apne sath bahut muKHtasar raha hun main

ye kaisi rifaten aaina-e-nigah mein hain
kisi sitare pe jaise utar raha hun main

main raushni hi ki wahdaniyat ka qail hun
mohabbaton hi ka paigham-bar raha hun main

main shab-parast nahin hun yahi KHata hai meri
ada-shanas-e-jamal-e-sahar raha hun main

yahan bas ek naya tajraba hua 'farigh'
ki lamhe lamhe ko mahsus kar raha hun main