har ek lamha tabiat pe bar hai, kya hai
tumhaara gham ki gham-e-rozgar hai, kya hai
wo hum pe aaj bahut jalwa-bar hai kya hai
ab is ada mein adawat hai, pyar hai, kya hai
sitam to ye hai ki is ahd-e-jabr mein bhi yahan
malul hai na koi be-qarar hai, kya hai
hazar rang-ba-daman sahi magar duniya
bas ek silsila-e-etibar hai, kya hai
faza chaman ki hai aisi ki kuchh nahin khulta
KHizan ki rut hai ki fasl-e-bahaar hai, kya hai
suna hai raat to kab ki guzar gai lekin
hamein sahar ka abhi intizar hai, kya hai
chaman hamara hai lekin chaman hamara nahin
na bebasi na koi iKHtiyar hai, kya hai
batae jate hain unwan nae nae 'nikhat'
magar tamasha wahi wahi bar bar hai, kya hai
Ghazal
Har ek lamha tabiat pe bar hai, kya hai
Nikhat Barelvi