har ek gam pe sajda yahan rawa hoga
KHudi ka daur hai har shaKHs ab KHuda hoga
ba-nam-e-fasl-e-bahaaran KHizan ki puja hai
yahi mazaq-e-gulistan raha to kya hoga
dhuan sa uThne laga dil se ahl-e-mahfil mein
naya charagh koi bazm mein jala hoga
tumhaare shahr mein aae hain ahl-e-ghurbat phir
is aas par ki koi dard-ashna hoga
jaras hai un ka sada un ki karwan un ke
siwae gard-e-safar mere pas kya hoga
kabhi na ahd-e-junun mein kisi ne socha tha
KHirad ka daur bahut sabr-azma hoga
'nasim' hum se hai zinda jahan mein nam-e-wafa
hamare baad zamana badal chuka hoga

Ghazal
Har ek gam pe sajda yahan rawa hoga
Waheeda Naseem