اردو हिंदी
Har ek gam pe had har qadam dar-o-diwar | Shaahi Shayari
har ek gam pe had har qadam dar-o-diwar

Ghazal

Har ek gam pe had har qadam dar-o-diwar

Ehsan Akbar

;

har ek gam pe had har qadam dar-o-diwar
faza-e-shahr bani besh-o-kam dar-o-diwar

yahi the sahn-e-faza aur yahi ghar aangan tha
tum aae ho to hue muhtsham dar-o-diwar

hum apne dard hawaon se bhi nahin kahte
uThae phirte hain KHud apne gham dar-o-diwar

ye reg-zar hai aur is ki apni duniya hai
yahan hamesha rahe kam se kam dar-o-diwar

hawa watan ki palaT aai baadban ke sath
wahi yahan bhi faza aashram dar-o-diwar

nazar ke aage nahin par nazar mein zinda hain
school baste gharaunde qalam dar-o-diwar

gae jahan bhi wahin shahr bas gaya 'ehsan'
azal se apne rahe ham-qadam dar-o-diwar