اردو हिंदी
Har ek dard ko harf-e-ghazal bana dunga | Shaahi Shayari
har ek dard ko harf-e-ghazal bana dunga

Ghazal

Har ek dard ko harf-e-ghazal bana dunga

Khurshid Ahmad Jami

;

har ek dard ko harf-e-ghazal bana dunga
chala to hun ki teri rahguzar dikha dunga

gham-e-hayat mere sath sath hi rahna
payambari se tera silsila mila dunga

agar wahan bhi teri aahaTen na sun paun
to aarzu ki hasin bastiyan jala dunga

na intizar na aahen na bhigti raaten
KHabar na thi ki tujhe is tarah bhula dunga

kuchh aur tirgi-e-sham-e-gham sahi 'jami'
kuchh aur apne charaghon ki lau baDha dunga