har ek chiz mayassar siwae bosa hai
aur apne gham ka sabab iltawa-e-bosa hai
bhale to lagte hain inkar-e-bosa par bhi ye honT
kabhi to ye kaho ye lab barae bosa hai
mere qarib se honTon ko mat guzar itna
ki chal rahi mere sar mein hawa-e-bosa hai
chhupaya kar nahin honTon ko muskuraate hue
ye ja-e-sharm nahin hai ye ja-e-bosa hai
lab-e-KHamosh pe bhi hai mere hi kaam ka harf
meri murad ye bhi hai jo pa-e-bosa hai
samajh mein kuchh nahin aata ki bolti ho kya
labon pe khelti phirti nida-e-bosa hai
yahi na chhoD ke ja tishna-kaam honTon par
ki ye to bosa-e-sahw-e-qaza-e-bosa hai
tumhaari KHush-dahni se hai asl mein sarokar
ye lab ka bosa to bas ibtida-e-bosa hai
bas ek bosa-e-subh aur ek bosa-e-sham!
faqir-e-bosa hun aur iltija-e-bosa hai
laban-e-bosa-chashida bhi KHub hain lekin
nigah mein ek but-e-naKHuda-e-bosa hai

Ghazal
Har ek chiz mayassar siwae bosa hai
Syed Kashif Raza