har dua hogi be-asar na samajh
aaj nahaq hai aankh tar na samajh
zist mushkil sahi magar ai dost
maut aasan rahguzar na samajh
hausla rakh tu rahraw-e-manzil
thak ke raste ko apna ghar na samajh
pujta hun main pattharon ke sanam
mere dil mein hai koi Dar na samajh
ja-ba-ja sun tu meri sargoshi
main faza mein hun muntashir na samajh
jin charaghon ki lau bahut kam hai
un charaghon ko mo'atabar na samajh
main tahi-dast muflis-o-nadar
tu mujhe dast-e-be-hunar na samajh
main hun qail teri parastish ka
tujh se mangunga main guhar na samajh
teri dastak ka muntazir 'anjum'
shahr mein hoga koi dar na samajh

Ghazal
Har dua hogi be-asar na samajh
Aanand Saroop Anjum