har-chand gam gam hawadis safar mein hain
wo KHush-nasib hain jo teri rahguzar mein hain
takid-e-zabt ahd-e-wafa izn-e-zindagi
kitne payam ek nigah-e-muKHtasar mein hain
mazi sharik-e-haal hai koshish ke bawajud
dhundle se kuchh nuqush abhi tak nazar mein hain
lillah is KHulus se pursish na kijiye
tufan kab se band meri chashm-e-tar mein hain
manzil to KHush-nasibon mein taqsim ho chuki
kuchh KHush-KHayal log abhi tak safar mein hain
mahfil mein un ki samt nigahen na uTh sakin
hum bil-KHusus ahl-e-nazar ki nazar mein hain
ye kaise rah-rau the ki har naqsh-e-pa ke sath
sajdon ke kuchh nishan bhi is rahguzar mein hain
Ghazal
Har-chand gam gam hawadis safar mein hain
Iqbal Azeem