اردو हिंदी
Har-chand apne aks ka dil dardmand ho | Shaahi Shayari
har-chand apne aks ka dil dardmand ho

Ghazal

Har-chand apne aks ka dil dardmand ho

Sultan Akhtar

;

har-chand apne aks ka dil dardmand ho
aaine ke labon pe agar zahr-e-KHand ho

be-mehr aaftab ka darwaza band ho
aandhi zara thame to ghaTa sar-buland ho

har lamha us ki madh-sarai na kijiye
mumkin hai aisi baat use na-pasand ho

har gam hauslon ka yahi muddaa raha
gumrah zindagi ki masafat do-chand ho

'aKHtar' main iKHtilaf ka qail nahin magar
ahbab ka mizaj hi jab shar-pasand ho