har baat yahan baat baDhane ke liye hai
ye umr jo dhoka hai to khane ke liye hai
ye daman-e-hasrat hai wahi KHwab-e-gurezan
jo apne liye hai na zamane ke liye hai
utre hue chehre mein shikayat hai kisi ki
ruThi hui rangat hai manane ke liye hai
ghafil teri aankhon ka muqaddar hai andhera
ye farsh to rahon mein bichhane ke liye hai
ghabra na sitam se na karam se na ada se
har moD yahan rah dikhane ke liye hai
Ghazal
Har baat yahan baat baDhane ke liye hai
Mahboob Khizan