har aashna se us bin begana ho raha hun 
majlis mein shama-ru ki parwana ho raha hun 
mujh ko malamat-e-KHalq KHatir mein nahin hargiz 
zulfan ki fikr mein main diwana ho raha hun 
saqi sharab-o-saghar ab chahta nahin hun 
us ke KHayal sun main mastana ho raha hun 
us ke KHayal sun main tanha-nashin hun daim 
wahshi sa main saban sun begana ho raha hun 
dekh us ki laT ka phanda bhula hun aab-o-dana 
'faez' asir us ka be-dana ho raha hun
        Ghazal
Har aashna se us bin begana ho raha hun
Faez Dehlvi

