har aan ek naya imtihan sar par hai
zamin zer-e-qadam aasman sar par hai
duhai deti hain kaisi hari-bhari faslen
kisi ghanim ki surat lagan sar par hai
main KHandan ke sar par hun baadalon ki misal
so bijliyon ki tarah KHandan sar par hai
qadam jamaun to dhanste hain reg-e-surKH mein paun
jo sar uThaun to nili chaTan sar par hai
main jaanta hun Tlega ye jaan hi le kar
rah-e-farar nahin mehman sar par hai
ek aur wasl-e-suKHan aur ek visal-e-nigah
mufarqat ki ghaDi meri jaan! sar par hai
Ghazal
Har aan ek naya imtihan sar par hai
Shabnam Rumani