har aaine ne kaha ruKHsat-e-ghubar ke baad
yahan to kuchh bhi nahin hai jamal-e-yar ke baad
zamana zer-e-nagin tha raza-e-yar ke baad
wo iKHtiyar mila tark-e-iKHtiyar ke baad
ye manta hun adab shart-e-ishq hai lekin
ye hosh kis ko rahega nigah-e-yar ke baad
paron se munh ko chhupa kar qafas mein aa baiTha
chaman ka haal na dekha gaya bahaar ke baad
tere jamal ko samjhe tilism ghuncha-o-gul
fareb khae bahut hum ne e'tibar ke baad
wo jam jam nahin hasil-e-do-alam hai
jo dast-e-shauq mein aaya hai intizar ke baad
gham-e-firaq ki manzil 'rais' KHatm hui
ab aage jalwe hi jalwe hain hijr-e-yar ke baad

Ghazal
Har aaine ne kaha ruKHsat-e-ghubar ke baad
Raees Niyazi