haqiqaton ka nai rut ki hai irada kya
kahaniyon hi mein le sans shahzada kya
ye rang-zar hai apna paron pe titli ke
dhanak ho KHud mein to phulon se istifada kya
mohabbaton mein ye ruswaiyan to hoti hain
sharafaten teri kya mera KHanwada kya
agar wo phenk de kashkol apne wirse ka
to is jahan mein kare bhi faqir-zada kya
ziden to shan hua karti hain raison ki
jo chauthi samt na jae wo shahzada kya
ye mere naqsh ye meri sharafaten 'azhar'
ab aur chahiye is se mujhe ziyaada kya
Ghazal
Haqiqaton ka nai rut ki hai irada kya
Azhar Inayati