haqiqat zist ki samjha nahin hai
wo apne dasht se guzra nahin hai
andhere raqs karte hain musalsal
ki suraj raat ko aata nahin hai
karega KHud-kushi hi ek din wo
sukun jis zehn ko milta nahin hai
uThae ghumti hai zard patte
hawa se aur kuchh chalta nahin hai
na Dubo shama mein parwano tum, ye
dahakti aag hai dariya nahin hai
umangon ki kai nadiyan hain is mein
samundar hai ye dil sahra nahin hai
ye jo aatish-fishan hai mujh mein 'sima'
dahakta rahta hai bujhta nahin hai
Ghazal
Haqiqat zist ki samjha nahin hai
Seema Sharma Meeruthi