hanste hue huruf mein jis ko ada karun
bachchon se kis jahan ki kahani kaha karun
ya rab azab-e-harf-o-taKHaiyyul se de najat
ghazlen kaha karun na mazamin likha karun
qadmon mein kis ke Dal dun ye nam ye nasab
kuchh to batao kis ka qasida paDha karun
ab tak to apne aap se pichha na chhuT saka
mumkin hai kal se aap ke haq mein dua karun
kitni nai zaban ho kaisa naya suKHan
is ahd ko to dekh lun 'ghaalib' ko kya karun
'shahpar' meri hadon ka tayyun kare koi
aankhon se bah rahun ki ragon mein phira karun
Ghazal
Hanste hue huruf mein jis ko ada karun
Shehpar Rasool