hamrah mere koi musafir na chala tha
dhoka mujhe KHud apni hi aahaT se hua tha
masdud hui jis ki har ek rah-e-sarasar
is saf mein mujhe la ke khaDa kis ne kiya tha
jumbish hi se honTon ki jo kuchh samjho to samjho
is gung-mahal mein to bas itna hi rawa tha
tamir hue ghar to gae jaane kahan wo
jin KHana-ba-doshon ka yahan KHema laga tha
dhundlae KHad-o-KHal gar us ke to ajab kya
dekhe hue yun bhi use yug bit gaya tha
shab shoala-ba-daman to sahar soKHta-saman
do rup badalta tha ajab wo bhi diya tha
Ghazal
Hamrah mere koi musafir na chala tha
Shabnam Shakeel