hamesha zulm ke manzar hamein dikhae gae
pahaD toDe gae aur mahal banae gae
tulu-e-subh ki afwah itni aam hui
ki nisf shab ko gharon ke diye bujhae gae
ab ek bar to qudrat jawab-dah Thahre
hazar bar hum insan aazmae gae
falak ka tantana bhi TuT kar zamin pe gira
sutun ek gharaunde ke jab girae gae
teri KHudai mein shamil agar nasheb bhi hain
to phir kalim sar-e-tur kyun bulae gae
ye aasman the ki aaine the KHalaon mein
mah-o-nujum mein jhanka to hum hi pae gae
daraaz-e-shab mein koi apna ham-safar hi na tha
magar 'nadim' sadaen to hum lagae gae
Ghazal
Hamesha zulm ke manzar hamein dikhae gae
Ahmad Nadeem Qasmi