hamesha zindagi ki har kami ko jite rahte hain
jise hum ji nahin pae usi ko jite rahte hain
hamare dukh ki barish ko koi daman nahin milta
hamari aankh ke baadal nami ko jite rahte hain
kisi ke sath hain rasmen kisi ke sath hain qasmen
kisi ke sath jina hai kisi ko jite rahte hain
hamein malum hai ek din bharosa TuT jaega
magar phir bhi sarabon mein nadi ko jite rahte hain
hamare sath chalti hai tumhaare pyar ki KHushbu
lagai thi jo tum ne us lagi ko jite rahte hain
chahakte ghar mahakte khet aur wo ganw ki galiyan
jinhen hum chhoD aae un sabhi ko jite rahte hai
KHuda ke nam-lewa hum bhi hain tum bhi ho aur wo bhi
magar afsos sab apni KHudi ko jite rahte hain
Ghazal
Hamesha zindagi ki har kami ko jite rahte hain
Aalok Shrivastav