hamein sab ahl-e-hawas na-pasand rakhte hain
ki hum nawa-e-mohabbat buland rakhte hain
isi liye to KHafa hain sitam-shiar ki hum
nigah-e-narm o dil-e-dardmand rakhte hain
agarche dil wahi rajat-pasand hai apna
magar zaban taraqqi-pasand rakhte hain
hum aise arsh-nashinon se wo daraKHt achchhe
jo aandhiyon mein bhi sar ko buland rakhte hain
chale ho dekhne 'mushtaq' jin ko pichhli raat
wo log sham se darwaza band rakhte hain
Ghazal
Hamein sab ahl-e-hawas na-pasand rakhte hain
Ahmad Mushtaq