اردو हिंदी
Hamare waste har aarzu kanTon ki mala hai | Shaahi Shayari
hamare waste har aarzu kanTon ki mala hai

Ghazal

Hamare waste har aarzu kanTon ki mala hai

Tanveer Naqvi

;

hamare waste har aarzu kanTon ki mala hai
hamein to zindagi de kar KHuda ne mar Dala hai

udhar qismat hai jo har dam naya gham hum ko deti hai
idhar hum hain ki har gham ko hamesha dil mein pala hai

abhi tak ek khaTak si hai abhi tak ek chubhan si hai
agarche hum ne apne dil se har kanTa nikala hai

ghalat hi log kahte hain bhalai kar bhala hoga
hamein to dukh diya us ne jise dukh se nikala hai

tamasha dekhne aae hain hum apni tabahi ka
bata ai zindagi ab aur kya kya hone wala hai