hamare hath mein kab saghar-e-sharab nahin
hamare qadmon pe kis roz mahtab nahin
jahan mein ab koi surat pae-sawab nahin
wo mai-kade nahin saqi nahin sharab nahin
shab-e-bahaar mein zulfon se khelne wale
tere baghair mujhe aarzu-e-KHwab nahin
chaman mein bulbulen aur anjuman mein parwane
jahan mein kaun gham-e-ishq se KHarab nahin
gham, aah ishq ke gham ka koi nahin mausam
bahaar ho ki KHizan kab ye iztirab nahin
umid-e-pursish-e-ahwal ho to kyunkar ho
salam ka bhi teri bazm mein jawab nahin
watan ka chheD diya kis ne tazkira 'aKHtar'
ki chashm-e-shauq ko phir aarzu-e-KHwab nahin
Ghazal
Hamare hath mein kab saghar-e-sharab nahin
Akhtar Shirani