hamare haal se koi jo ba-KHabar rahta
KHayal us ka hamein bhi to umr-bhar rahta
jise bhi KHwahish-e-diwar-o-dar ho sahra mein
wo kam-nasib to achchha tha apne ghar rahta
hawa se TuT ke girna mera muqaddar tha
ki zard patta tha kyunkar main shaKH par rahta
jo dekhta hun zamane ki na-shanasi ko
ye sochta hun ki achchha tha be-hunar rahta
hamari wajh se hoti na teri ruswai
hamare sath agar tu na is qadar rahta
tazad qaul-o-amal mein ho jis ke ai 'nadir'
wo shaKHs kaise nigahon mein mo'atabar rahta
Ghazal
Hamare haal se koi jo ba-KHabar rahta
Athar Nadir