اردو हिंदी
Hamare azm-e-safar ke aage sawal-e-lail-o-nahaar kya hai | Shaahi Shayari
hamare azm-e-safar ke aage sawal-e-lail-o-nahaar kya hai

Ghazal

Hamare azm-e-safar ke aage sawal-e-lail-o-nahaar kya hai

Sharib Lakhnavi

;

hamare azm-e-safar ke aage sawal-e-lail-o-nahaar kya hai
gham-e-mohabbat uTha liya hai to gardish-e-rozgar kya hai

umid-e-farda pe jine walo hayat ka e'tibar kya hai
uTho ki manzil bula rahi hai chalo ki ab intizar kya hai

bikharte phulon na hum se puchho hamein to ab yaad hi nahin hai
chalo ye ahl-e-chaman se puchhen sukun kya hai qarar kya hai

meri nigahon mein phir raha hai tera takallum tera tabassum
meri nigahon se koi puchhe ye phul kya hai bahaar kya hai

nazar se daman bacha bacha ke main dil ko aarif bana raha hun
tumhaare jalwon ki manzilon mein nigah ka e'tibar kya hai

bahaar-e-gul mein qadam qadam par shuur-e-kaamil ki hai zarurat
bahaar un ke liye KHizan hai jo ye na samjhe bahaar kya hai