hamare azabon ka kya puchhte hain
kabhi aap kamre mein tanha rahe hain
ye tanhai bhi ek hi sahira hai
miyan is ki qudrat mein sau waswase hain
hue KHatm cigarette ab kya karen hum
hai pichhla pahar raat ke do baje hain
chalo chand pal mund len apni palken
yun jaise ki hum waqai so gae hain
zara ye bhi sochen ki raaton ko akasr
bhala kutte galiyon mein kyun bhunkte hain
jhagaDti hain billon se sab billiyan kya
aziyyat mein lazzat ke pahlu chhupe hain
huin KHatm 'arshad' tumhaari sazaen
parinde rihai ka dar kholte hain
Ghazal
Hamare azabon ka kya puchhte hain
Razzaq Arshad