hamara zikr dushman ki zabani dekhte jao
fasana ban gai sari kahani dekhte jao
zara ek chheD do zahid se qisse hur-o-ghilman ke
phir us kam-baKHt ki rangin-bayani dekhte jao
Tapak le KHun armanon ka aankhon se zara Thahro
meri luTti hui rangin jawani dekhte jao
kamal-soz gham-ha-e-nihani DhunDne walo
maal-e-soz gham-ha-e-nihani dekhte jao
bahut charche the yaron mein meri jadu-bayani ke
huzur-e-dost meri be-zabani dekhte jao
Ghazal
Hamara zikr dushman ki zabani dekhte jao
Hari Chand Akhtar