hamara to koi sahaara nahin hai
KHuda hai to lekin hamara nahin hai
mohabbat ki talKHi gawara hai lekin
haqiqat ki talKHi gawara nahin hai
meri zindagi wo KHala hai ki jis mein
kahin dur tak koi tara nahin hai
KHuda kya KHudi ko bhi aawaz di hai
musibat mein kis ko pukara nahin hai
sarab ek haqiqat hai aab ek tasawwur
yahi zindagi hai to chaara nahin hai
hum apni hi aankhon ka parda ulaT den
haqiqat ko ye bhi gawara nahin hai
wo kya un ke gesu sanwarega jis ne
gareban bhi apna sanwara nahin hai
KHuda us se nipTe to nipTe ki ye dil
hamara nahin hai tumhaara nahin hai
nazar un ki gosha-nashin hai haya se
ishaara nahin ye ishaara nahin hai
hamara hai kya jab hamara irada
hamara hai lekin hamara nahin hai
gareban bahut se hue para para
naqab ek bhi para para nahin hai
kisi ke liye dil ko sulga ke dekho
jahannam koi istiara nahin hai
ba-juz 'mazhari' ke sabhi bazm mein hain
wahi tere wadon ka mara nahin hai
Ghazal
Hamara to koi sahaara nahin hai
Jameel Mazhari