hamara ishq salamat hai yani hum abhi hain
wahi shadid aziyyat hai yani hum abhi hain
usi purani kahani mein sans lete hain
wahi purani mohabbat hai yani hum abhi hain
na jaane kab se dar-e-dastan pe baiThe hain
aur intizar ki himmat hai yani hum abhi hain
talab ke karb mein ek marg ke dua-go the
talab mein waisi hi shiddat hai yani hum abhi hain
kasi ke nam pe hum dosti nibhate the
aur ab bhi waisi hi shohrat hai yani hum abhi hain
talab baDhati chali ja rahi hai apni hawas
so qadre KHam qanaat hai yani hum abhi hain
kalam-e-'mir' ke sadqe mein sher hote hain
jo bait hai so qayamat hai yani hum abhi hain
ajab ye sher hain apne ki jin mein hum bhi nahin
bas ek gham ki shararat hai yani hum abhi hain
ye ishq peshgi dar-o-rasan ke hangame
ye rang zinda salamat hai yani hum abhi hain
amir-e-shahr hai bechain shaiKH KHauf-zada
abhi talak ye adawat hai yani hum abhi hain
na puri hai na adhuri ye dastan-e-alam
koi suni si hikayat hai yani hum abhi hain
Ghazal
Hamara ishq salamat hai yani hum abhi hain
Ahmad Ata