hamara husn-e-talluq wafa bane na bane
wo ishwa-sanj hai farruKH-liqa bane na bane
chale hain shauq mein hum ya-KHuda bane na bane
wo kya suluk kare dil-ruba bane na bane
kiya tasawwur-e-maqsud ne hamein hairan
ye muntaha-e-nazar muddaa bane na bane
safina bahr-e-tashshuq mein ab to Dal chuka
jo aashna hai mera na-KHuda bane na bane
fareb-e-jalwa hai naqsh-o-nigar fitrat mein
jo mahw-e-did ho hairat-ada bane na bane
shahid-e-kaif-e-tamanna hai aashiq-e-betab
bahaar-e-husn-e-safa ham-nawa bane na bane
fusun KHayal hai tahrik-e-shauq-e-ranai
wo mast-e-naz mera KHud-numa bane na bane
bandhi hai KHanda-e-zer-e-labi se kuchh ummid
wo zud-ranj hai zud-ashna bane na bane
wo jazb-e-qalb ke nairang ka hua qail
hamara aaina hairat-numa bane na bane
kabhi to jam-e-inayat ka ho ghani 'saqi'
ye be-niyaz tera be-nawa bane na bane
Ghazal
Hamara husn-e-talluq wafa bane na bane
Pandit Jawahar Nath Saqi