hum yahan rahte hain apni hi nigahbani mein
jab se mushkil nazar aane lagi aasani mein
mere hathon mein ye kashkol thamaya kis ne
kaisa saman mila be-sar-o-samani mein
hae kya log the jo josh-o-junun rakhte the
ab koi lutf nahin chaak-garebani mein
kabhi is shahr mein kuchh der Thahar kar dekho
zindagani ko rawan maut ki tabani mein
hum ne ek umr basar ki hai yahan bhi lekin
kuchh izafa na hua dasht ki virani mein
aks mera mujhe lagta hai jahan-tab hua
sar-e-kohsar dikhai jo diya pani mein
mere atraf hain kitne hi parinde KHamosh
hai koi kaamil-e-fan kar-e-sulaimani mein
Ghazal
Hum yahan rahte hain apni hi nigahbani mein
Hamdam Kashmiri

