hum tirgi mein shama jalae hue to hain
hathon mein surKH jam uThae hue to hain
us jaan-e-anjuman ke liye be-qarar dil
aankhon mein intizar sajae hue to hain
milad ho ki majlis-e-gham mubtala tere
aangan mein dal ke farsh bichhae hue to hain
hizb-e-haram ne shauq-e-junun ko baDha diya
sine se hum buton ko lagae hue to hain
duniya kahan thi pas-e-wirasat ke zimn mein
ek din tha so us pe luTae hue to hain
kab chobdar par hon sar-afraaz dekhiye
us shoKH ki nigah mein aae hue to hain
Ghazal
Hum tirgi mein shama jalae hue to hain
Hasan Abidi