hum talKHi-e-hayat ko aasan na kar sake
sahrai-zindagi ko gulistan na kar sake
tha zoam jin ko apni masihai ka yahan
wo bhi ilaj-e-sozish-e-pinhan na kar sake
waraftagi-e-shauq mein shal ho gae badan
aabid tawaf-e-kucha-e-jaanan na kar sake
kuchh yun chali thi baad-e-hawadis ki ki umr-bhar
qindil-e-arzu ko farozan na kar sake
aalam-e-ashiqi ne kiya KHud se be-KHabar
hum tazkira-e-saKHti-e-dauran na kar sake
aisa chubha hai nashtar-e-bedad-e-arzu
hum zindagi mein phir koi arman na kar sake
baad-e-nasim ab ke 'muzaffar' ajib thi
hum ehtimam-e-subh-e-bahaaran na kar sake

Ghazal
Hum talKHi-e-hayat ko aasan na kar sake
Muzaffar Ahmad Muzaffar