hum soz-e-dil bayan karen tum se kahan talak 
jalne lagi hai ab to hamari zaban talak 
kuchh be-kasi-e-rah-rau-e-gham na puchhiye 
milti nahin hai gard-e-rah-e-karwan talak 
sharma ke lauT aae na jab kuchh asar hua 
nale hamare pahunche to the aasman talak 
ummid-e-baada kis ko hai KHun-e-jigar piyo 
hai mohtasib ke rup mein pir-e-mughan talak 
raaz-o-niyaz-e-ishq ki kya ho KHabar hamein 
hasil nahin hai did-e-ruKH-e-mahwashan talak 
kis munh se hum bayan karen majra-e-dil 
un ko nahin pasand hai soz-e-nihan talak 
hum ko qafas hi ras hua barq ke tufail 
baqi nahin chaman mein raha aashiyan talak 
pa-e-zaif baad mein chahen to TuT jaen 
pahuncha den ek bar to ku-e-butan talak 
shayad baqa-e-ishq isi shai ko kahte hain 
hum bhul baiThe gham mein zaman-o-makan talak 
yaro hamari zist ka qissa hai muKHtasar 
mahdud hai hadis-e-gham-e-dil-baran talak 
mutlaq nahin hai 'kaif' ko dawa-e-jazb-e-dil 
maqdur is ka girya-o-ah-o-fughan talak
        Ghazal
Hum soz-e-dil bayan karen tum se kahan talak
Saraswati Saran Kaif

