hum shahr mein ek shama ki KHatir hue barbaad
logon ne kiya chand ke sahraon ko aabaad
har samt falak-bos pahaDon ki qataren
'KHusraw' hai na 'shirin' hai na tesha hai na farhad
barson se yahi KHwab hain nindon ki sajawaT
gulshan hai magar gul hai na bulbul hai na sayyaad
hun tair-e-be-baam charagh-e-sar-e-sahra
ummid-e-karam hai na mujhe shikwa-e-bedad
jis ghar ko basaya tha meri be-KHabari ne
aaj us ko teri KHud-nigari kar gai barbaad
kuchh aisa dhuan hai ki ghuTTi jati hain sansen
is raat ke baad aaoge shayad na kabhi yaad
har zarra hai madfan meri hairat-nigahi ka
yarab! ye gali kuche hamesha rahen aabaad
kal apni bhi taswir na pahchan sakenge
is daur ko baKHshe gae wo 'mani' wo 'bahzad'
sunsan hai zindan bhi bisan-e-dil-e-shaer
ne shor-e-salasil hai na hangama-e-fariyaad
KHurshid-e-qayamat utar aae rag-e-jaan mein
ai naghmagaro aisi koi tarz ho ijad
'shohrat' ki hai ab wajh-e-pareshani-e-ahbab
uTh jaega jis roz tu aaega bahut yaad
Ghazal
Hum shahr mein ek shama ki KHatir hue barbaad
Shohrat Bukhari