hum shad hon kya jab tak aazar salamat hai
sar phoD chuke phir bhi diwar salamat hai
aaya tere honTon par elan-e-junun kyun kar
jab tere gareban ka har tar salamat hai
andaz dikhae hain kya shoKHi-e-tiflan ne
is shahr mein ab kis ki diwar salamat hai
luTta hai to luT jae sukh-chain faqiron ka
kya fikr tujhe tera pindar salamat hai
ek sang ke haTne se KHush-fahm na ho itna
mat bhul ki raste mein kohsar salamat hai
'gulzar' hamein dekho kashti ko Dubo kar bhi
kis faKHr se kahte hain patwar salamat hai
Ghazal
Hum shad hon kya jab tak aazar salamat hai
Gulzar Bukhari