ham-safar tu ne paron ko jo mere kaTa hai
tere kirdar ka ye sab se baDa ghaTa hai
aaiye aap ko dastar-e-fazilat di jae
aap ne apne hi logon ka gala kaTa hai
koi dastak koi aahaT na sada hai koi
dur tak ruh mein phaila hua sannaTa hai
lutf ye hai ki usi shaKHs ke mamnun hain hum
jis ki talwar ne qiston mein hamein kaTa hai
hum pe ghalbe ki yahi ek to surat thi 'wasim'
buz-dilon ne yun hi KHanon mein nahin banTa hai

Ghazal
Ham-safar tu ne paron ko jo mere kaTa hai
Waseem Malik