hum sa diwana kahan mil paega is dahr mein
ghar kiya tamir jis ne dimakon ke shahr mein
KHud-kushi karne mein bhi nakaam rah jate hain hum
kaun amrit ghol deta hai hamare zahr mein
kis ko hai marne ki fursat sab yahan masruf hain
maut tu bekar mein aai hai aise shahr mein
TuTi kashti ki tarah hain waqt ke sahil pe hum
kya zamana tha baha karte the apni lahr mein
ek virani si anjum rah gai aaankhon mein ab
KHwab sare bah gae hain aansuon ki nahr mein
Ghazal
Hum sa diwana kahan mil paega is dahr mein
Anjum Ludhianvi