اردو हिंदी
Hum riwayat ke sanche mein Dhalte bhi hain | Shaahi Shayari
hum riwayat ke sanche mein Dhalte bhi hain

Ghazal

Hum riwayat ke sanche mein Dhalte bhi hain

Yusuf Jamal

;

hum riwayat ke sanche mein Dhalte bhi hain
aur tarz-e-kuhan ko badalte bhi hain

jada-e-am par bhi hai apni nazar
jada-e-am se bach ke chalte bhi hain

rahibana qanaat ke KHugar sahi
walihana kabhi hum machalte bhi hain

daman-e-nashsha dete nahin hat se
rind girte bhi hain aur sambhalte bhi hain

yun to iKHfa-e-gham ka namuna hain hum
dusron ke liye hat malte bhi hain

kuchh ye hai maslahat-kesh hum bhi nahin
kuchh ye ahl-e-riya hum se jalte bhi hain

naz kya is qadar aarzi husn par
shahryaron ke sikke badalte bhi hain