ham-rahi ki baat mat kar imtihan ho jaega
hum subuk ho jaenge tujh ko giran ho jaega
jab bahaar aa kar guzar jaegi ai sarw-e-bahaar
ek rang apna bhi paiwand-e-KHizan ho jaega
saat-e-tark-e-talluq bhi qarib aa hi gai
kya ye apna sab talluq raegan ho jaega
ye hawa sare charaghon ko uDa le jaegi
raat Dhalne tak yahan sab kuchh dhuan ho jaega
shaKH-e-dil phir se hari hone lagi dekho 'nasir'
aisa lagta hai kisi ka aashiyan ho jaega
Ghazal
Ham-rahi ki baat mat kar imtihan ho jaega
Naseer Turabi