اردو हिंदी
Hum qatl kab hue ye pata hi nahin chala | Shaahi Shayari
hum qatl kab hue ye pata hi nahin chala

Ghazal

Hum qatl kab hue ye pata hi nahin chala

Sahar Mahmood

;

hum qatl kab hue ye pata hi nahin chala
andaz tha ajab ki wo KHanjar ajib tha

ummid-e-baryabi to mujh ko na thi magar
sahil pe aa gaya main samundar ajib tha

dam-bhar ko bhi nigah na chehre pe Tik saki
us paikar-e-jamal ka tewar ajib tha

tanha bhi rah ke hum kabhi tanha nahin hue
hamrah us ki yaadon ka daftar ajib tha

ham-dam guman hota tha phulon ki sej ka
KHaron se wo saja hua bistar ajib tha

hum mahw-e-justuju the 'sahar' mustaqil magar
manzil mili na phir bhi muqaddar ajib tha