hum pe jaur-o-sitam ke kya mani
tark-e-rahm-o-karam ke kya mani
aish-o-ishrat se gham ke kya mani
farbahi hai diram ke kya mani
raat furqat ki kis ko kahte hain
roz-e-hijr-e-sanam ke kya mani
gar nahin us ka saghar-e-mai-nab
kahiye phir jam-e-jam ke kya mani
pujna but ka hai ye kya mazmun
aur tawaf-e-haram ke kya mani
kucha-e-gul-ruKHan ko kahte hain
aur bagh-e-iram ke kya mani
yunhi wada karo yaqin ho jae
kyun qasam lun qasam ke kya mani
majra chashm-e-nam ka tu samjhe
lekin abr-o-karam ke kya mani
bose wade se kam nahin manzur
dam na do hum ko dam ke kya mani
ek do tin chaar panch chhe sat
yunhi gin lenge kam ke kya mani
ai 'saKHi' yar ne dikhai kamar
shab jo puchha adam ke kya mani
Ghazal
Hum pe jaur-o-sitam ke kya mani
Sakhi Lakhnvi