hum nin sajan suna hai us shoKH ke dahan hai
lekin kabhu na dekha kita hai aur kahan hai
DhunDa hazar to bhi tera nishan na paya
lashkar mein gul-ruKHan ke teri masal kahan hai
ab tishnagi ka roza shayad khule hamara
sham o shafaq sajan ka missi o rang-e-pan hai
dil mein kiya hai dawa ankhiyan hui hain munkir
teri kamar ka jhagDa in do ke darmiyan hai
rahta hun ai piyare qadmon tale tumhaare
jis rah aawte ho aajiz ka whin makan hai
tujh KHatt-e-pusht-e-lab mein tis ka suKHan hua sabz
us ki zaban dahan mein manind-e-barg-e-pan hai
piri sin qad kaman hai har-chand 'abru' ka
is naujawan ki KHatir dil ab talak kashan hai
Ghazal
Hum nin sajan suna hai us shoKH ke dahan hai
Abroo Shah Mubarak