اردو हिंदी
Humne to be-shumar bahane banae hain | Shaahi Shayari
humne to be-shumar bahane banae hain

Ghazal

Humne to be-shumar bahane banae hain

Ghulam Mohammad Qasir

;

hum ne to be-shumar bahane banae hain
kahta hai dil ki but bhi KHuda ne banae hain

le le ke tera nam in aankhon ne raat bhar
tasbih-e-intizar ke dane banae hain

hum ne tumhaare gham ko haqiqat bana diya
tum ne hamare gham ke fasane banae hain

wo log mutmain hain ki patthar hain un ke pas
hum KHush ki hum ne aaina-KHane banae hain

bhanwre unhi pe chal ke karenge tawaf-e-gul
jo daere chaman mein saba ne banae hain

hum to wahan pahunch nahin sakte tamam umr
aankhon ne itni dur Thikane banae hain

aaj us badan pe bhi nazar aae talab ke dagh
diwar par bhi naqsh wafa ne banae hain