hum ne tanha-nashini KHaridi to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar
shama mehrab-e-dil mein jalai to hai aarzuon ka apni kafan bech kar
mutmain hain bahut aaj arbab-e-fan apna sarmaya-e-fikr-o-fan bech kar
jaise aaina rakh de koi mah-wash halqa-e-zulf ka bankpan bech kar
kho gaya dard hangama-e-shahr mein luT rahi hai dukan-e-mata-e-nazar
ab bhi taufiq agar hai to ahl-e-junun baDh ke le lo use jaan o tan bech kar
rut badalti rahi rang uDte rahe kam-nazar baghban kam-nazar hi rahe
ek KHayaban ko sairab karte rahe aabru-e-bahaar-e-chaman bech kar
hai 'faridi' ajab rang-e-bazm-e-jahan miT raha hai yahan farq-e-sud-o-ziyan
nur ki bhik taron se lene laga aaftab apni ek ek kiran bech kar
Ghazal
Humne tanha-nashini KHaridi to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar
Moghisuddin Fareedi