hum ne kis raat nala sar na kiya
par use aah kuchh asar na kiya
sab ke han tum hue karam-farma
is taraf ko kabhu guzar na kiya
kyun bhawen tante ho banda-nawaz
sina kis waqt main sipar na kiya
kitne bandon ko jaan se khoya
kuchh KHuda ka bhi tu ne Dar na kiya
dekhne ko rahe taraste hum
na kiya rahm tu ne par na kiya
aap se hum guzar gae kab ke
kya hai zahir mein go safar na kiya
kaun sa dil hai wo ki jis mein aah
KHana-abaad tu ne ghar na kiya
tujh se zalim ke samne aaya
jaan ka main ne kuchh KHatar na kiya
sab ke jauhar nazar mein aae 'dard'
be-hunar tu ne kuchh hunar na kiya
Ghazal
Humne kis raat nala sar na kiya
Khwaja Meer u0027Dardu0027