اردو हिंदी
Hum na hanste hain aur na rote hain | Shaahi Shayari
hum na hanste hain aur na rote hain

Ghazal

Hum na hanste hain aur na rote hain

Meer Hasan

;

hum na hanste hain aur na rote hain
umr hairat mein apni khote hain

kha ke gham KHwan-e-ishq ke mehman
hath KHun-e-jigar se dhote hain

wasl hota hai jin ko duniya mein
yarab aise bhi log hote hain

kos-e-rahlat hai jumbish-e-har-dam
aah tis par bhi yar sote hain

dil laga us se mardum-e-dida
sath apne hamein Dubote hain

aah-o-nala se wo KHafa hai abas
kanTe hum apne haq mein bute hain

yaad aati hain us ki jab baaten
dil 'hasan' donon mil ke rote hain