اردو हिंदी
Hum log apni rah ki diwar ho gae | Shaahi Shayari
hum log apni rah ki diwar ho gae

Ghazal

Hum log apni rah ki diwar ho gae

Ashok Mizaj Badr

;

hum log apni rah ki diwar ho gae
yani ki maslahat mein giraftar ho gae

ab to buland aur zara hausla karo
patthar jo mel ke the wo diwar ho gae

tufan mein hum ko chhoD ke jaane ka shukriya
ab apne hath panw hi patwar ho gae

ghar ko girane wale siyasi mizaj the
gham mein sharik ho ke wo gham-KHwar ho gae

parde ki baat parde pe khul kar jo aa gai
bachche samay se pahle samajhdar ho gae

itni zara si baat pe hairan hai mizaj
kaghaz ke phul kaise mahak-dar ho gae