hum koi nadan nahin ki bachchon ki si baat karen
jina koi khel nahin hai baiTho tuk ki baat karen
shiw to nahin hum phir bhi hum ne duniya bhar ke zahr piye
itni kaDwahaT hai munh mein kaise miThi baat karen
hum ne sab ko muflis pa ke toD diya dil ka kashkol
hum ko koi kya de dega kyun munh-dekhi baat karen
hum ne kab ye gur sikha hum Thahre sidhe-sade log
jis ki jaisi fitrat dekhen us se waisi baat karen
Ghazal
Hum koi nadan nahin ki bachchon ki si baat karen
Aziz Bano Darab Wafa