اردو हिंदी
Hum kahan kunj-nashinon mein rahe | Shaahi Shayari
hum kahan kunj-nashinon mein rahe

Ghazal

Hum kahan kunj-nashinon mein rahe

Hamidi Kashmiri

;

hum kahan kunj-nashinon mein rahe
aasmanon mein zaminon mein rahe

rahen be-wajh munawwar na huin
raat KHurshid jabinon mein rahe

tha falak-gir talatum shab ka
hum sitaron ke safinon mein rahe

jism se sanp nikal aate hain
ek do pal hi dafinon mein rahe

tum ko israr hai KHali ye makan
hum shab o roz makinon mein rahe

sabz daim shajar-e-harf uge
umr bhar shura zaminon mein rahe